Kisi Bhi Post Ko PDF File Me Kaise Covert Kare [Post To PDF]


Har Rooj internet User bahut hi tezi se bad rahe hai. Internet par jyada se jyada log information collect karne ke liye Aate hai. Hum log hmesa dekhte hai ki jab internet par kisi User ko Koi information mil jata hai to woh Uss information ko apne notebook me note karta hai Ya phir uss pure web page ko save kar leta hai. Lekin mai aapko bta du agar aap usko note karege to aapka jyada time west hoga aur yadi aap uss webpage ko save karege tab bhi woh ek badiye quality ke file me nahi save hoga aur aapko baad me read karne me problem hogi.

In sabhi chizo se Nijat pane ke liye aapko uss webpage ko PDF file me convert kar dene cahiye. Agar aap kisi bhi webpage ko PDF file me covert kar dete hai tab aap uss file ko kabhi bhi kahi par open kar ke Asani se Read kar sakte hai.

Yadi aap ek student hai aur aap daily internet apne padhai ke liye use karte hai tab aap aapne dwara collect kiye gaye information ko Pdf file me covert kar ke ek jagah par rakh sakte hai. Agar aap kisi bhi webpage ko PDF file me covert karke read karte hai to aapke file ki quality acchi hoti hai aur aap usko Asani se padh bhi sakte hai.

Wese to internet par kisi bhi webpage ko pdf file me covert karne ke bahut se tarike hai lekin mai ek Aasan tarike ke bare me bataoga jiska upyog karke apne kisi bhi webpage ko PDF file me Asani se covert kar sakte hai.

Blog Post ko PDF me kaise Badle

Kisi bhi Post ko PDF me badalne ke liye hame simple ek Site ki jarurat padegi.. TO Chaliy dekh lete hai kaise kya karna hai.

Step 1: Sabse Phele aapko ey Website Open karni hai

www.printfriendly.com

Step 2: Ab Jis Post ko PDF me badalna hai uski Link Copy kare

Step 3: Jo Box diya hai usme post ki link dale fir Print Privue par click kare.

Step 4: Ab jo post hai wo PDF me kaisi dikhegi wo aa jayegi.. aap chahe to usme kuch edit bhi kar sakte hai. Last me PDF ki button par click kare.

Step 5: Ab ek Popup khulega..

Page ka Size select kare.Download Your PDF ki button par click kare Download karne ke liye.

Ab File ko aap jaha bhi chahe save karle..

Kisi Page ya Post ko PDF me save karne ke faide

Ham Bina Net ke bhi usko pad sakte hai.Mobile me bhi usko pad sakte hai.Jo PDF sharing site hai unpar upload karke apni site ki link bada sakte hai.Print Nikal sakte hai aasani se.Is Trha PDF me Notes ki trha rakh sakte hai.Agar aap Apne Blog ki Post ko PDF me badal kar apne visitor ko Download karwaoge to aapka free me promotion hoga.. Q ki usme aapki site ka naam hoga.

Khud ke Blog ko kya hai Faida PDF se

Agar aapka Blog hai to aap Apni Post ko convert karke PDF me badle fir  apni PDF File ko un sites par upload kare jinki rank achi hai.. Discription me apni post ki link jarur de Q ki ussu se hame apni site ke liye backlink milegi.

Ye Kuch Badiya Sites ki list

www.slideshare.netwww.scribd.comissuu.comwww.mediafire.comwww.4shared.comrapidshare.comwww.docstoc.comwww.esnips.comwww.authorstream.comwww.slideboom.comhotfile.comslidesix.comwww.myplick.comwww.edocr.comen.calameo.comwww.wepapers.com

in sites par apni PDF ko submit kare..

To Friends aap ab jaan chuke hai ke kisi bhi post ko PDF me kaise badle or kya faide hai uske.

Ye Bhi Pade:

Off Page SEO ki Puri JankariInternet se paise kamayeFacebook Account hack hone se kaise bachaye