7 Tarike Apni Google Plus Profile Par Followers Badhane Ke


Agar baat ki jaye Google plus ki toh beshak yeh ek behtareen platform hai apne website/blog ko promote karne aur jyada se jyada traffic ko apne blog/website par lane ke liye kyuki Google Plus par ab Ek Arab se jyada log register kar chuke hai aur sath hi yaha par lagbhag 360 lakh se zyada users har samay active rehte hai.

Ha ho sakta hai ki Google Plus aapkofacebook aur twitter ke mukable utna na bhi pasand aye par sach maane tohSearch Engine par achi ranking Google plus par hi nirbhar karti hai. Aap chahe toh thodi si mehnat kar ke kam samay me hi hazar se zyada relevant followers paa sakte hai aur iske liye zaroorat hai toh bas kuch steps follow karne ki.

Aap mere instructions ko follow kare aur agle hi week se aapke 500 ya usse bhi jyada followers zaroor ho jayenge.

Google+ par account kaise Banaye

Google Plus ke Followers Increase Karne ke Upai

#1: Apni Profile ka look Acha Rakhe

Ji haan yeh bahut jaruri hai ki aapkiprofile look me behtareen aur interesting ho jise ki audience khud hi follow karna chahe. Agar aap apni hi picture profileaur cover par lagana chahte hai to woh photos bhi high resolution mein hi upload kare aur un pictures me brightness bhi achi honi chahiye.

Saath hi aapko apni story aur ek tagline add karne ka option ayega toh isme bhi kuch interesting words ko add kar ke aap apni profile ko ek alag pehchaan de sakte hai.

#2. Dusro ko bhi follow kare:

Agar aapko khud ko follow karwana hai toh aapko dusro ko bhi follow karna padega.

Yeh jaanna behad zaroori hai ki kis tarah ka circle banaane se aapke blog ko profit hoga.
Google Plus me ek option hai category ka. Sahi category select karne ke baad aapko usi se related sare people aur pages ka suggestion milega apne circle me add karne ka. Jaise ki agar ap Google Plus ke search box me Technology search karte hai toh technology par based pages aur people sabhi list wise show ho jayenge aur aap asani se unhe add kar sakte hai.

#3: Communities se jude:

Jab aap logo ko follow karte hai toh ek single person ke saamne aap ka introduction hota hai par jab aap kisi community me apna participation show karte hai toh aap hazaro lakho logo ke samne apna naam laate hai aur apna introduction karate hai.

Kisi community ko join karte hi aap ek bade group ke part ban jate hai jaha par log kisi unique topic par apni alag alag thinking present karte hai ,toh mere hisaab se ye ek nayab tarika hoga apne followers ko increase karne ka.

#4. Hamesha kuch Interesting post kare:

Jitna jyada aap apne profile par active rahenge utne jyada people aapko follow karenge. Aapko roz hi kuch na kuch interesting post karna hoga. Aap apne profile ko ek small blog ki tarah samjhe aur uspar regular post kare par ye dhyan me rakhe ki agar aapka post chota bhi ho phir bhi woh jaankaari se bhara hua ho aur padhne me bahut hi simple words me ho.

Aap chahe toh post me text ke alawa videos, photos, infographics bhi apne audience ke saath share kar sakte hai.

#5 Apne updates ko email ke jariye share kare:

Ji haan aapne ekdum sahi suna, aap apne updates aur latest informations ko email ke jariye apne kareebi doston, family members tak pahucha sakte hai.

Kabhi kabhi aisa hota hai ki google plus par aapka content show nahi hota toh aap is technique se bhi apna content ko popular kar sakte hai.

#6 Apne Google Plus Ki Profile ko apne website/blog par share kare:

Jaisa ki hum jante hai ki blog or website pure internet par faile hue hai aur hazaro log in par aate rahte hai toh agar aap Google Plus badge ko apne blog par share karenge toh aapke blog visitors bhi aapko follow zaroor karenge. Yeh Bahut hi basic baat hai jo ki maine bataya hai. Badges ek asaan tarika hai apne followers number ko aur jyada badhane ki.

#7 Aapke interaction ki hai zaroorat:

Jo log aapke post par comment kare unko reply de, influent logo ko apne post me jarur mention kare saath hi dusro ke post par bhi like, comment aur share zaroor kare. Apne readers ke saath ek acha relationship banana bahut important hai.

Google Plus par success paana utna mushkil bhi nahi hai jitna ki yeh lagta hai aapke kuch weeks ki mehnat hi aapko ek acha connection provide karwa sakti hai, Toh bas shuru kar dijie mehnat aur haan maine apni taraf se saare important points include kar diye hai agar aapke paas bhi koi acha point ho toh use humare sath zaroor share kare.

Ye Bhi Pade:

Facebook Page kaise BanayeGoogle+ Page Kaise BanayeFacebook Hack hone se Bachane ke tarike