Naye Blogger Ke Liye 5 Jaruri Jankari Blogging ki


Hello dosto, Agar aap naye blogger hai ya blogging suru karne ja rahe hai to ye post aapko jarur padna chahiye . blogging me successful hone ke liye niche bataye gaye 5 baton ko dhyan me rakhana bahut jaruri hai. naye blogger jankari ke kami ke karan suru me kuchh mistakes karte hai. ye jankari aapko unn mistakes se bachane me help karega.

Naye blogger ke liye 5 jaruri jankari

1. Custom Domain ka Istemaal

jyadatar naye blogger free subdomain (blogspot.com, wordpress.com etc) ka use karte hai. ek serious aur professional tarike se blogging karne ke liye custom domain bahut jaruri hai. Aapke custom domain ka age jitna jyada hoga bwo utna hi search engine aur alexa ranking ke liye achha hoga. jab aap custom domain ka use karte hai to aap uske liye apna backlink banana shuru kar dete hai. backlink page ranking aur search engine ke liye bahut jaruri hota hai.

Ye Post bhi Pade:

Badiya Domain Kaise select kareDomain kaise Kharide website ke liyeBlogger me Domain kaise Add kare

2. Blog Design and Custom Template

Jab koi vistor aapke blog par aata hai to sabse pehale weh blog ke design ko dekhata hai. agar aap apne blog visitors par accha asar chhodana chahte hai to sabse pehale ek achha sa SEO friendlycustom template ko apne blog par set kare. custom template se aapke blog ko ek professional look milta hai.

Blogger Template DOwnload karne ki 6 Badiya WEbsiteBest 300+ Blogger Template 

3. Dusare blog ke content ko copy mat kijiye

Apna jo Competitor hai usse Sikhe, par kabhi usko Copy naa kare. Agar Copy Kiya to samjo mare.

Jack Ma


Kuchh naye blogger dusare blog ke content ko copy karke sidha apne blog par publish kar dete hai. shayd isliye kyoki unko blogging aur copyright ke bare me achhe se jankari nhi hota. aur kuchh log jinko copyright content ke bare me jankari hota hai we dusare blog ke content me thoda sa change karke apne blog par publish kar dete hai. Isase we apne blog ke SEO ko kharab karte hai. Agar aap aisa kuchh kar rahe hai to samajh lijiye ki aap google se achhi traffic kabhi nhi paa sakte hai. kyoki google ab bahut hi advance ho gaya hai weh inn sabhi dublicate posts ko aasani pehachan leta hai. aap hamesha original post ko hi publish kare.

Ye Bhi Pade: Post Copy karne ke Faide or Nuksaan

4. Apne Interest ko pata kijiye

Jisme Interest hai Agar wo kare to Paise Piche Bhagte hai.


aap kabhi bhi aise chij par blogging mat kijiye jisme aapka interest hi naa ho. aap sabse pehale apne interest ko pata kijiye kyoki lambe samya tak blogging karne ke liye usme interest hona jaruri hai.

5. Dhairya ( Patience) rakhe

Sabra ka Fal Mitha hota hai ye to suna hi hoga aapne..


jab blogging suru karte hai tabhi se paisa kamane ke bare me mat sochana suru kijiye. sabse pehale apne blog par quality post likhane aur traffic ko badane par focuss kijiye. blogging me successful hone ke liye aapke patience ka hona bahut jaruri hai kyoki isame samay lagata hai. bahut se naye blogger patience me kami ke karn kuchh samay bad blogging chhod dete hai. Lekin lage rahenge to dheere dheere aapko saflta jarur milega.

Imp tips:

Quality post likhe.lage rahiye. aap jarur successful honge.

About Author : Vinod Kumar Singh, Maiwww.webkaise.com ka founder hu. mai apne blog par blogging, SEO, Online income ke bare me jankari deta hu.

Ye Ek Guest Post hai HMH.pe .. Agar aap bhi Guest Post karna Chate hai toyaha click kare.

Ye Post Bhi Pade:

New Blog Ko Improve Karne Ke 6 Excellent TarikeNew Blog Post ko Promote karne ke 15 TarikeNew Blog Ko Improve Karne Ke 6 Excellent Tarike