Keyword Kya Hota Hai Aur Ek Badiya Keyword Kaise Select Kare
Agar Aap blogging karte hai to hmesa kahi na kahi keyword ke bare me jarur sunte honge. Yadi aap blogging me naye hai tab aapko keyword ke bare Me nahi pata hoga. Yadi aapko keyword ke bare me nahi pata hai ki keyword kya hota hai aur hum isko apne blog or website me kaise use karte hai. to ye artical aapke liye helpfull hoga kyoki iss artical me hum janege ki ek keyword kya hota hai aur aur ek badiya keyword ko kaise choose karte hai.
Ek keyword kya hota hai isko hum ek simple bhasha me kahe to ek keyword search engine ko batata hai ki aapke blog aur artical kiss bare me hai Example ke taur par maan lo ki aapka ek blog or website hai “how to train dogs” to aapke iss blog or website ka keyword “dog training” or “puppy training” hoga Ye ek simple Example tha keyword ke bare smjhne ka.
Keyword Kya Hota Hai
Ek keyword search engine ko ye batata hai ki aapka blog or website kiss bare me hai. Search Engine iska calculating karne ke liye dekhta hai ki woh particular word Jisko hum keyword kehte hai kisi bhi artical me kitni baar use kiya gaya hai.
Example ke taur par agar mai apne blog ke artical me puppy training 2-4 baar likhte hai to search engine ko iss baat ka anubhao ho jayega ki aapka artical puppy training ke upar hi hai. Aur jab koi visitor puppy training ya phir isse related koi word Google par search karega tab aapka artical top search page par show hoga.
kyoki aapne ek keyword ko choose karke usko target kiya hai. lekin ek baat ka dhyaan de ki aap kabhi bhi kisi keyword ko target karte time apne keyword ko artical me 10-15 baat use kare adhik se adhik 2-4 baar hi use kare kyoki jyada baar use karne se search engine aapke artical ko spam maan lega.
Ek Right Keyword Ko Kaise Choose Kare
Muje ummed hai ki upar ke Example se aap samjh gaye hoge ki ek keyword kya hota hai. Agar aap Chate hai ki aapke blog par jada traffic aaye to aapko aese keywords par post likhni hogi jo jada bar search kiye jate ho.
Jab bhi aap koi post likhne Jaye tab aap uss post ka ke badiya Aur Main keyword select kar le. Example ke Taur par Maan lo Ki mai ek post likhne jaa raha hu jiska title hai “youtube channel kaise banaye” ab mai iss post ko likhne se pahle ek main keyword ko choose karuga aur woh keyword hoga “youtube channel” ab iss keyword ko mai apne pure post me kam se kam 4-5 baar prayog karuga phir uske baar iss keyword ko “Permalink, Meta Describtion, Heading, aur bhi importent jagah par bhi prayog karke apne artical ko publish karuga.
Badiya Keyword ko select karne ke baad us keyword ko kaha kaha use kare
Post Title me (Badiya Title likhe ki 6 Badiya Tips)Post Permalink (post ki link)Heading H2 H3Phele peragraph meImage Name me.. (ye bhi pade Image ko SEO Friendly kaise banaye)
Post ko Popular kaise kare uske liye ye Post pade
Aisa karne se mere iss artical ko search engine se jyada traffic milega kyoki maine ek main keyword ko target kiya hai. Aap bhi jab bhi koi naya post likhne jaye to uss post ke ek main keyword ko target kare aur dhyaan rakhe ussi keyword ko target kare jisko internet par jyada search kiya jata hai.
Agar aapko pta lagna hai ki internet par kon sa keyword jyada search kiya jata hai to aap google ki ek free tool “google keyword planner” se pata laga sakte hai. ye tool ekdum free hai iss tool ki madad se aap ye pata laga sakte hai ki kon se keyword Internet par montly kitni baar search kiya jata hai. google keyword plante me aur bhi bahut se feature hai jo aapke artical ko google top page me lane me bahut madad karega….
aapko ye chota aur usefull post kaisa laga. iss post se related koi sawal ya phir koi confusion hai to commnet box me puch le…
Ye Bhi Pade:
1000 Visitor par kitni income hoti hai Adsense meVideo ka Size kaise kam kare JaniyeDuniya ka sabse Kam umra ka CEO ki Story

0 Comments