Our other sites


Kaise Embed(Add) Kare Youtube Video Ko Site Me

Kaise Embed(Add) Kare Youtube Video Ko Site Me


Hello Blogger’s, Aaj ham is Post me dekhege kaise apni Post me Youtube Video ko add karte hai.

Me phele hi bata chuka hu ki ham video ko direct post editor se kaise add kar sakte hai, is post me, jisme mene Post editor ke sare option ke bare me batya hai..

Sayad aapko pata hi hoga ki hamyoutube se bhi badiya paise kama sakte hai, or agar hamara blog bhi hai to usse hamare video ke views to badege hi sath hi sath income bhi badegi.. blog or Youtube dono ki.

Start karne ke phele me samajta hu aapne apna video youtube me upload kar diya hai, or agar aap koi or ka video add karna chate hai to wo bhi kar sakte hai.

Youtube Video ko add karne ke liye phele hame Youtube Video ka Embed code lena hoga fir ham usko Apne Blog ke HTML me daal kar Video Add kar sakte hai.

Youtube Video ka HTML Embed Code kaise le

Sabse phele aap jis video ko add karna chate hai usko youtube me khole..

Ab niche aap dekhege Share ka Option hai, uspar click kare, Fir Embed par click kare

Ab ek code aa jayega jisko ham kahi bhi HTML me add karke video ko add kar sakte hai.

Agar aap video ko apne hisab se customize karna chate hai to aap SHOW MORE  par click kare.

Ab kuch or Option aayege, jinko ham apne video me set kar sakte hai.

Video Size – Aap jo video hai uska kya size rakhna chate hai usko select kar sakte hai.Show Suggested Video – isko agar aap Tik karte hai to Video khatam hone ke baad jo Video ka suggestion aate hai wo aayege. 
Show Player Control – Is option me jo Video player ke option hai,  Play, Volume , settings wo nahi dikhege.
Show Video Title – Agar aap Video ka Title dikhana chate hai to isko tik kare.
Enable Privacy – is option tik karne par youtube hamare visitor ko jab tak track nahi karega jab tk wo video ko play nahi karte. (Agar aapka Video hai to jarur tik kare, jisse videoko rank me thoda faida milta hai).

Apni setting karne ke baad aap code copy kare..

Blogger Me Kaise Add kare Youtube Video

Hamare Pass jo Code hai wo HTML me hai to ham usko kahi bhi HTML me add kar sakte hai.

Blogger ki Post me Youtube Video Add karne ke liye.

Sabse phele HTML section me jaye.. Pjir jaha Video ko Add karna hai Bha Code ko Paste karde..

Post likhne ke liye bapas Composesection me chale jaye..

Ye sirf ek example hai ki Video ko kaise HTML me add kare.. Aap Chate to iskoHTML/Javascript widget me bhi add kar sakte hai, ya fir agar aap Blogger ke page me add karna chate to bha bhi kar sakte hai.

????Blogger ki or adhik jaankari ke liye yaha click kare

????Youtube ki or Adhik jaankari ke liye yaha click kare

Sabal, Sujab or jaankari kesi lagi Comment karke bataye…


Post a Comment

0 Comments