Godaddy se Expired Domain kaise Kharide Aur Iska kya Fayda Hai


Jab koi kisi website ka owner kisi wajah se apne domain ka renewal nhi kra pata to weh domain expire ho jata hai. Aur usko koi bhi kharid sakta hai.

Dosto, sabse pehale mai aapko expire domain ke fayde ke bare me batata hu fir mai aapko bataunaga ki aap godaddy se expired domain kaise kharid sakte hai.

# Pehala Fayda – SEO ke liye achha

agar aap kisi Purane expired domain ko apne blog me use karte hai to weh aapke blog ke liye SEO friendly hoga. jyadatar Expired domains ki pehale se kuchh backlinks aur page rank bhi hoti hai. Agar aap 10 – 12 saal purana domain ko apne blog ke liye use karte hai to isame koi doubt nhi weh domain aapke blog ke SEO liye bahut hi achha hoga.

# Dusara Fayada – Domain Ko Resell karna

isame koi shak nhi koi domain jitna purana hoga weh utna hi jyada SEO friendly hoga. Bahut sare logo ko iss tarh ke domains ki talaas rehati hai. Aap expired domains ko kharid kar usko kai guna jyada kimat par bech sakte hai. Mera aapko salaah ki aap we expired domain ko kharide jo 10 saal ya usase jyada purana ho. Domain jitna jyada purana hoga weh utna hi achha hoga. Jyada profit paane ke liye aise domain name khojiye jo popular topic se related ho jaise – health, finance, sport, blogging etc.

Bahut sare log domain ko kharid aur usko fir bechkar lakho dollers kamate hai.

**Aapko ye Pata hona Chaiye**

Domain Kharidne ke phele ye Jane kiBadiya Domain Name kaise Select kare.

Godaddy se Domain kaise Register kare Apni Website ke liye.

# Godaddy Se Expired Domain kaise kharide

Godaddy auction site par jaye –in.auctions.godaddy.com

jaisa aap image me dekh rahe hai.

Popular searches‘ me bane drop down menu mar click kareab ‘closeouts (No membbership required)‘ ko select kare.‘Search Results to Return‘ ke drop down menu ko click kare fir aap jitne expired domain ko ek saath dekhana chahte hai usko select kare.

iske bad aapke samne expired domains ki list aa jayegi. aap image me dekh sakte hai ki inn expired domain ki kimat lagbhag 600 – 700 rupye hai. koi domain kitna purana hai isko janane ke liye uss par click kare. jaisa ki image me dikhaya gya hai. Jo domain aapko register karna hai usko select kare. Jis domain ko mai select kiya hu uski kimat $5 (Rs 350) hai. Aur 11 saal purana hai.

Jis Domain ko lena ho Buy Now ki link par Click kare.. Fir Go to Cart par click kare.

ab aapke samne ek nya page khul jayega. yeha par aap dekh rahe hai ki total 1405.44 rupaye ( Rs 694.44 domain ki kimat + Rs 699 renewal + Rs 12 ICNN fee) payment karna hai. aapko bahut sare domain isase bhi saste mil jayenge bas aapko thodi research karne ki jarurat hai.

ab ‘proceed to checkout‘ par click karke aap domain ko register kar sakte hai.

# Domain ko kahan sell kare

Domain sell karne ki kuchh top sites:

Flippa.comBuySellWebsite.comforums.DigitalPoint.comWebsiteBroker.comTalk.iWebTool.com forumAfternic.comhuntingmoon.comebay.com

iske alawa bahut aap apne khud ke sites par bhi domain ki selling ko promote kar sakte hai.

Agar aap soch rahe hai ki koi aapse domain kyo kharidega ? We log khud bhi to Godaddy auction (closeouts) Par jaker expired domain ko saste me kharid sakte hai.
to mai aapko batata hu , Bahut log aise hai jo godaddy auction (closeouts) ke bare me nhi jante. expired domain generally lakho rupye me bikte hai. Agar unko 10 hajar/ 15 hajaar ( 10- 15 thousands) rupye me milega to khushi se le lenge.Aap chahe to domain ko resell karke bahut jyada paisa kama sakte hai.

Aur jin logo ko godaddy auction (closeouts) ke bare me pata hai unme se kuchh logo domain par research karna pasand nhi hota. iss bare me we thode aalsi hote hai. Mai aisa isliye keh reha hu kyoki aise bahut se sites hai jeha par purane domains lakho rupye me bikate hai aur log unko kharidte bhi hai.

Dosto mujhe ummid hai ki iss janakari se aapko jarur fayda hoga. Comment karke apna feedback jarur de.

About Author
mera naam Vinod Kumar Singh hai. Aur mai WebKaise ka founder hu. Mai apne blog par blogging , online earning aur internet ki jankari hindi me share karta hu.

Mai guest posts aur apne blog ke Jariye aapko hamesha bahut hi achhi aur nyi jankari deta rehunga.

HMH Note: Ye Guest Post hai, Agar aap bhi HMH.pe Guest Post karna Chate hai to Yaha click kare

Ye Bhi Pade:

Domain Register karane ke liye 5 websitesDusro ke Copy karne ka Faida or NuksanOff-Page SEO se apne Traffic badaye