Badiya Comment karte Samay Rakhe in Baat ka Dhyan [Comment Tips]


Comment – jiska Hindi me matlab hai Tippanee hota hai.. Jab koi kuch khata hai ya kuch batata hai to ham uspar comment karte hai.. Ye aam Jisdgi me to hota hi hai par Online Bhi ham aesa hi karte hai.. Aapke Facebook,Twitter or Google+ jesi site par to bhut comment kiye hoge..

Agar aap Blogging krte hai to Comment ko ek dusri najar se bhi dekha jana lagta hai, wo ye ki usse hamare blog ko Promotion hota hai.. Par Bhut log Is Promotion ko galat tarike se samaj lete hai or Spam Commenting siru kar dete hai jisse Faide ki jagha Niksan or Time ki barbadi hoti hai.

Sirf Apne Blog par badiya Post Dalna hi kafi nahi, hame apni phechan banane ke liye Dusre Blog par Comment karna bhi bhut jaruri hai.. Sirf Comment nahi Ache Comment

Har Chij ke kuch Rules hote hai agar ham unko Follow karke kaam kare to Thoda time jarur lagta hai par usse jo hae faida milta hai wo bhi acha hi hota hai.. or kisi chij ka nuksan nahi hota..

Agar aap SEO ke Bare me Jaanna Chate hai to Yaha click kare

 

Comment karte samay bhi Kuch bate hai jinko agar diyan me rakh kar comment kare kisi bhi Blog par to uska Faida hame jarur milta hai

Comment Karte Samye Rakhe In Bato ka Diyan

Sabse Phele Post ko Pade achi se pade.Purane Comment Pade.Agar kisi Comment ka Jabab aapko pata hai to reply bhi kare.Comment Post ke smband me hi kare.Spam Comment naa kare.Chote Comment karne ka bhi koi faida nahi hai.Galat sabdo ka bilkul istmal naa kare.Ek hi Comment bar bar naa kare.

 

Badiya Comment karne Par Rakhe in Bato ko Diyan me

Comment karte samay sabse phele to hamara pura focus ussi par hona chaiye.. baki aap Aage Pad kar jaan lijiye..

#1 Post ko Puri Padne ke baad Comment kare

Agar aap kisi Post par Comment kar rahe hai to Sabse Phele post ko pade, Q ki usse aapko post me kya hai ye pata chal jayega or Fir aap apne Vichar commene me share kar sakte ho..

Jese aapko ye post kesi lagi.Post ke Kya Acha Laga.Post me kya acha nahi laga.Post me kya galat hai.agar koi jankari di gai hai post me to usse sambandit sabal puchne me bhi help milegi post padne ke baad.

#2 Purane Comment ko Pade apna Comment karne ke phele

Ye Process bhi jaruri hai, Q ki agar aap jo comment kar rahe ho jo phele se hai to aapke comment ko value nahi di jayegi.. Purane comment ko padne ke baad aapko acha Idea bhi mil jayega ki aesa comment kare jo dusre comment karne walo ko bhi impress kare.

#3 Galat Sabdo ka bilkul Istmal Naa Kare

Ye batane ki jarurat nahi hai ki Q galat sabdo ka istmal naa kare comment ya kahi bhi.. Galat chij gala hi hoti hai or wo kisi ko pasand nahi aati hai..

#4 Dusre Comment ka Reply kare

Jis Topic par Post hai agar aapko uska knowlage hai aapko or agar koi usse sambandit sabal comment me karta hai to aap uska reply karke uski help kar sakte ho.. isse aapki ek badiya Image ban jayegi ki aapko bhi iska acha knowlage hai. Comment ke Link add karne ka naa soche isse aap spam ki catogry me aa jayege.

#5 Spam Comment Naa Kare

Spam ka matlab Farji.. Farji comment bhi karte hai bhut log or sochte hai isse blog ki traffic bad jayegi par hota uska bilkul ulta hai.. Jo Blog ka owner hai wo hi delete kar dega or agar nahi karta hai to uske blog ko uska nuksan bhugtna padega..

Spam Comment is trha ke hote hai –

Kisi Referal link ko share karnaKisi Galat site ki link ko share karnaEk hi Comment bar bar har post par karna

Inke aalawa bhi farji comment ho sakte hai jo dekhte hi samaj aa jate hai..

#6 Chote Comment Nahi Nahi kare

Comment kar rahe hai to jo comment hai uski ek alag hi value honi chaiye aesa nahi, ki comment kar rahe hai to chota mota kuch bhi likh kar comment kar diya.. usse bhi koi faida nahi..

Kuch udharan comments ke

Thank youNice PostHelp MeGreat ArticleMe aapki har post padta hu…

Is Trha ke aar koi comment karta hai to ho sakta hai wo jisne post dali hai usko impress karde par usse jada or koi faida nahi hai.

#7 Comment Post ke Smbandit kare

Bhut log ye galti karte hai.. Agar koi sabal hai kisi post se sambandit to usse post me kare usse ye faida hoga ki aapko uska jabab sahi tarike se milega or agar jo sabal aapka hai wo or kisi ka bhi hoga to usko bhi jabab mil jayega..

Dusri post me kisi dusri post se sambandit comment karne me sabko confusion hota hai or samaj nahi aata hai is comment ka matlab kya hai..

#8 Comment me Link add nahi kare

bhut log Comment karte hi is liye hai ki unki link share kar sake.. par aesa karne se faide se jada nuksan hai.. Aapne Notice kiya ho sayad ki jo ache or popular blog hai to apne comment me link allow nhi karte or aese comment ko turant delete kar dete hai..

Link Share karne se ek nuksan ye bhi hai ki isse pata chal jata hai ki aapke blog par visitor kam hai matlab aapke blog me quality nahi hai.. to q koi aapki link par click karke aapke blog par jaye..

Link Share kar sakte hai par sirf jab jab uski bhut jarurat ho or jaruri nahi wo aapke blog ki hi link ho.. Jo aap comment kar rahe hai or agar aap usse sambandit kuch dikhana chate hai to link ka use kar sakte hai..

Me Link add karke apne Comment ki value badaoga uska Example: Jese Maanlo kisi post me Google SERP ke bare me bataya gaya hai.. or muje usme kuch kami lage.. Google ka koi New Update aaya to me Comment me bataoga ki aapki jankari sahi hai par ye thodi purani hai.. Google ke new update me kuch change kiye hai.. fir me Google ka jo official Blog hai uski link de duga jaha muje new jankari ka pata chala.. isse mere comment ko value di jayegi or jo bhi us comment ko padege wo bhi sochege ki isko acha knowlage hai.. or mere naam ke sath apni website blog me website ki link di hogi to uspar click karke meri website par bhi aayege..

#9 Ek Hi Comment Bar Bar Nahi kare

Ek hi comment bar bar karne se bhi koi faida nahi hai, isse sirf ye sabit hoga ki ye sirf spam comment hai or iske pas or kuch likhne ko nahi hai..

To Dosto Ye Kuch Tips thi ek badiya comment karne ke liye, Ummid hai aapko sse jarur kuch sikhne ko mila hoga.. or me Intjar karuga aapke Comments ka Is Post par ki aapko ye post kesi lagi or agar aapke pass bhi koi or point hai jo Comment karte samay diyan me rakhna chaiye to wo bhi jarur bataye..

Ye Bhi Aapko Padna Chaiye

Blog ki Sabhi Post ko Ek Page par DikhayeNaye Blog ko Promote karne ke 15 TarikeSEO Friendly Post likhne ke 5 Tarike