Our other sites


Apni Image ko Google Photos kiase Save karke rakhe [Free me!]

Apni Image ko Google Photos kiase Save karke rakhe [Free me!]


Har Google Blogspot blogging platfrom user picasa ke bare me janta hi hoga, jaha online photo store hote hai aur Picasa name se ek computer softwarebhi hai jahar par photo edit hote hai.

Blogspot platform ke post editorme jitne bhi photos upload karte hai wo sab Picasa main hi store hote hai, jise ham yaha click karke dekh sakte hai.

Jankari Picasa ki

Yah bat thi blogspot user ke liye, kai user picasa main apni private images, family photos and memories picasa web album me save rakhte hai, aur iske sath me Picasa ko mobile me use karke sab online photo ko gallery se bhi access kiya ja sakta hai, yaani Picasa me photo upload karke Google account ko sign in karke wo photos tablet, mobile, laptop orcomputer kis me bhi dekh sakte hai.

By by..!! to Picasa and say hi to Google Photos?

Lekin Google picasa ab itna long time nahi chalne wala, Google na apneofficial blog par mention kiya hai ki ab Google Picasa ko chor kar Google Photos name ki service par dhyan de rahi hai. Yah bat Google ne saf words me kah di hai ki Google, Picasa ko retire kar raha hai.

Ham yah jante hai ki Picasa me aap me se kai logo ke photos save hoge, lekin darne ki koi bat nahi hai, aap apne sare photos Google Photos me migrate kar sakte hai.

Agar apke kai memorable pictures picasa main upload hai to unhe Google Photos me upload kar sakte hai.

Chaliye dekhte hai kaise?

Moving on From Picasa: Google ki ek nayi Photos service

Aaj ke har android phone me Googlephotos name ki apps install aati hai, jiska matlab hai aap apne photos ko mobile se bhi upload kar sakte hai ur pc me karne ke liye 2 tarike hai jinke bare me ham aage bat karte hai.

Mobile ke liye:

Mobile me agar apke pahle se yah apps nai hai to ise Google play store se download kar sakte hai. Aur agar apka android version low hai to yah apps install nahi bhi ho sakti hai to uske liye computer se sidhe website par jakar bhi photos ko upload kiye ja sakte hai.

Mobile se photos ko upload karne ka aasan tarika hota hai apko syncs option ko on karna jisko Setting>Backup and Sync option par jakar kar sakte hai, jiske bad me yah upload hota rahega aur aap apne phone ko other task ke liye use me le sakte hai.

Computer ke liye:

Computer user ke liye Google ne ek website ko launch kiya haiphotos.google.com name se. Jaha par apne Google account ko login karke apne photos ko upload kar sakte hai. Yah Google picasa se kai guna easy aur advance bhi hai. Aur iske sath me isme Album create karna aur photo ko manage karne ka kafi acha oprtion bhi hai.

Computer user ke liye ek app bhi hai jiske through photo ko bina browser se bhi upload kar sakte hai, is apps ki help se photo ko online upload me rakh skte hai aur computer/laptop ko start rakhna hota hai baki yah background me running process me chalta rahta hai.

App ko download karne ke liye yaha click kare.

Is app ko install karke apni Google account ko login karna hai jaha par aap apne sare photo ko store karna chahte hai aur phir folder choose karlo jis folder ke saare photos apko upload karne hai and done. Phir yah background me chalta rahega.

Photos upload karne ke darmiyan koi bhi photo ko upload hone me error ata hai to use 1 click m hi wapas retry kar sakte hai. Islye Apps ko use karna bahtarin rahega aur yah bilkul small size ki hi hoti hai.

Faide Google Photos use karne ke

Apka sare photos store hoge apke Google account me, to yah bahut secure hoge. Aur jab aap photos ko upload karte hai to wo sab photos small size me compress hote jate hai wo bhi bina quality loss hue. Jiska matlab hai ki in future album ko small size me download karne me aasani hogi.

Online photos ko edit karne ka bhi option kafi acha hai, aur koi bhi photos ko bahtarin tarike se search karke dhunda jaa sakta hai.

To agar aap Google photos ko use karte hai to kafi time ko bacha sakte hai. Iske sath me yah service hamesha ke liye free hai, lekin isme 16GB-17GB limited hard disk apko milti hai jo photo ke liye bahut hai, kyon ki agar koi pic jayda high size ki hoti hai to use Google Photos auto compress kar deta hai to is tarah kam size me jyada photos ko bhi store kiya ja sakta hai.

Lekin agar aap limited hard disk se jayda pana chahte hai to space kharida bhi jaa sakta hai.

ye bhi pade:

Google Par Photo Kaise Upload Karte HainPhoto ko search me lane ke liye kya karePhoto ki Size kam kaise kare uski jankariFree Image Download karne ki websites


Post a Comment

0 Comments