WiFi Hotspot Banaye Computer Me NotePad ki Madad Se


Internet Aaj hamari jisndi ka kitna aham hissa ban gaya hai, ye to sabko lagta hi hoga.. Mere Mobile me ya Computer me to agar 10 Minute bhi Internet naa ho to aesa lagta hai, Pata nahi kis duniya me aa gaya hu.. Matlab Puri Duniya se hi disconnect ho jata hu..

Bhut Bar hota hai Hamare Mobile me ya fir kisi Friends ke Mobile me Net Chalana hai par ham Ya Fir Dosto ke Sath Lan Game Khalna ho to ham WiFiki madad connect kar sakte hai.. Uske liye bas hame apni Computer ko WiFi Hotspot me badalna hoga, jo bhut hi aasan hai.

Also Read: Connected WiFi ka Password kaise Dekhte hai

Wifi Hotspot banane ka Fyada

Sabse bada fayda internet sharing hai, isse aap apne laptop se apne family members aur padosio ko apna internet share kar sakte hain.LAN par games games khelne ke liye bhi hotspot banana padta hai jisme bhut se Laptop ek sath connect karke game khal sakte hai.File share karne ke liye (Wireless). Iski madad se ham Fast file transfer bhi kar sakte hai..

Jo Trick hai Laptop me WiFi Hotspot banane ki usme kisi software ki jarurat nahi hai, Simple Notepad ki madad se 2 .bat file banani hai.. Chaliye Dekhte hai kese kya karna hai.

Wifi Hotspot Banaye Notepad ki madad se

Step 1: Pehle step me apne laptop pe Notepad khole (Press Win key+ R, aapke samne ek run dialog box khul jaega usmein ‘Notepad’ type karein aur enter key press karein )

Step 2: Ab niche ke code ko copy karke notepad me paste kar dein

netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=Wifihotspot key=hmh1234567 netsh wlan start hostednetwork

yahan SSID wifi hotspot ka naam hai jise aap apne hisab se edit bhi kar sakte hain and key Wifi hotspot ka password hai, isse bhi aap apne hisab se edit kar sakte hain.

Step 3: Is step me, apni is file ko startwifi.bat name se save kar dein(.bat extension ka dhyan rakhein)

Step 4: Ab is step me ek new notepad file open karein aur niche ke code ko copy karke paste kar dein

netsh wlan stop hostednetwork

Step 5: Is file ko stopwifi.bat name se save kar dein.

Aapne jo File Banai hai uske aesi jagha save kare jaha jaldi se phucha ja sake.. Desktop par bhi save kar sakte hai.

AB WiFi Hotspot Chalu karne ke liye Startwifi file par double click kare to Wifi Hotspot shart ho jayega.. Or fir kisi bhi Device me Wifi Connect kar sakege.

WiFi Hopspot ko band karne ke liye Stopwifi ki file par double click kare.. WiFi Hotspot Band ho jayega..

Hai Na Aasan

Aapko ye jankari kesi lagi comment karke bataye, or Agar or koi jankari chaiye to aap site par search kar sakte hai.. bhut si jankari phele se share ki hui hai.. Fir bhi agar aapko jo jaanna hai wo nahi milta to aap comment karke puch sakte hai..

Ye Bhi Pade:

Slow Computer ki Speed kaise BadayePhotoShop ke Basic Sikhe 10 Minute meFacebook ko Hack hone se kaise Bachaye