Feedburner ko Blogger se kaise add kare or Q
Jin logo ka blog ya website hoti hai unke liye unke liye visitor kitne jaruri hai ye kisi ko batane ki jarurat nahi hai. Ham hamare blog ko top me lane ke liye kya kya nahi karte, Facebook Page bana kar uska widget apne blog par add karte hai,Twitter or Google+ par apni post ko share karte hai.
Hamara maksad hota hai ji jada se jada logo tak apni post ki jaankari pohche. Blog ki Feed usme se ek sabse main hai. blog ki Feed ki madad se koi bhi hamare blog ko apne Email par Subscribe kar sakta hai or subscribe karne ke baad jab bhi ham pani new post publish karte hai uske pass email chala jata hai.
Jo Hamare Blogger blog ka feed hota hai bo kuch is prakar hota hai.
blogname.blogspot.com/feeds/posts/default
hamare blog ko koi bhi subscribe to kar sakta hai par hame pata nahi chalta kitne logo ne subscribe kiya hai. To ye jaanne ke liye ki hamare blog ko kitne logo ne subscribe kiya hai ham apne blog ke feed ko Google feedburner se add karte hai.
To chaliye Jaante hai kaise Blogger ki Feed ko Google Feedburner me banate hai or fir Apne Blogger ki Feed ko Kaise redirect karte hai.
FeedBurner ki Feed ko kaise banate hai
Step by Step Follow karo
Step 1.
Feedburner ki Site par jao fir apneGoogle Account se login karo
Step 2.
Ab apni Blog ka URL dalo jiska aap Feed banana chate ho.
Apne Blog ka URL DaleNext ki Button par click kare
Step 3
Ab jo naya page khulega usme Aapke Blog ke 3 feed URL aayege usme se aapko ek select karna hai.
Phela select rhane deNext ki button par click kare
Step 4
Apne Feed Ka Title De. (Jo aapki Site ka Title ho bo hi de to badiya rahega).Apne Feed ke liye uska naam dale.
Feedburner ka link kuch is parkar rhata hai
????http://feeds.feedburner.com/HindiMeHelp
Step 5
Ab aapka Feed URL ban chuka hai aap uski link dekh sakte ho. Next ki button par click kare
Step 6
Agar aap apne Feed par kitne click ho rahe hai usko track karna cahate ho to in option ko select karo. ya fir khali rhane do. Next ki button par click karo.
Step 7
Ab kuch is Prakar Successfully ka message aayega. iska matlab hai aapka Feedburner par feed teyaar hai.
Feedburner ke Feed ko Blogger e kaise Add kare
Ek baar Feedburner par feed banne ke baad aapko karna ye hai ki apne blog ki feed ko redirect karna hai. uske liye in steps ko follow karo
Step 1
Apne Blogger account me login karne ke baad apne blog ke deshbord me jao.
Step 2
Setting me jaoFir Other par click karoAb jo page aayega usme Post Feed Redirect URL ke saamne apni Feedburner ki URL DaloSave Setting par click karo.
To Ab aap jaan chuke ho kaise FeedBurner par feed banate hai or usko kaise apne Blogger ke blog me add karte hai. To abhi ke liye bas itna hi, or dekhe kaise Subscriber Widget apne Blog me add kare or Email Subscription kaise enable kare Feedburner par.
????Agar Aapko Ispost ke samband me koi bhi paresaani ya fir koi sabaal ho to aap comment me post kare. or agar aapka koi or sabaal ho to aap Hamare HMH Forum me post kare.
????Blogger template bhi bhut jaruri hota hai visitor ko banaye rakhne ke liye.janiye kaise Template badalte hai blogger ka
????Meta Tags Add karke apne Blog ke search me aane ke chance banaiye

0 Comments